Monday, January 22, 2007

Cypher se Cypher Tak
Yahi Zindagi Ke Khyaal Ka Safar Hai
Har Daastan Shuru Hoti Hai Ek Cypher Se
Phir Safar Ka Har Kadam
Dil-O-Dimaag Ka Har Bharam
Zindagi Ki Har Saans
Dhadakte Dil Ki Har Aas
Kheench Le Jaati Hai Insaan Ko
Ek Cypher Ki Talaash Main

Is Cypher Ki Talaash Main
Insaan Bahut Kuch Seekhta Hai
Bhaut Kuch Pata Hai Aur
Bahut Kuch Khota Bhi Hai
Har Poori Huyi Tamanna
Apne Aap Main Ek Cypher Ho Jaati Hai
Har Adhoori Tamanna Bhi
Phir Cypher Ban Jaati Hai
Kai Rishtey Bante Hain
Kuch Bigadte Bhi Hain
Kuch Apne Cypher Pe Ruk Jaate Hain
Kuch Wahi Se Phir Shuru Hote Bhi Hain
Aakhir Safar Hai Cypher Tak Pahuchne Ka

Is Cypher Ki Talaash Main
Kai Log Milte Hain
Kuch Do To Kuch Char Kadam Saath Chalte Hain
Magar Saath Choothte Rehte Hain
Kadam Toothte Rehte Hain
Safar-Dar-Safar ,Cypher-Dar-Cypher

Cypher Ki Is Gard Main
Insaan Bhool Jaata Hai Kabhi
Sach Jhooth Ka Farq Sahi Galat Ka Farq
Kadam Dagmagaa Jaate Hain
Raastey Ki Mushkilon Se
Insaan Girta Hai Kai Baar
Phir Uthta Bhi Hai
Gir Kar Uthta Hai, Sambhalta Hai
Phir Chalta Hai Usi Anjaan Safar Main
Kabhi Khatam Na Hone Wali Talaash Main
Pahunch Wahi Paata Hai
Apni Manzilon Tak
Jismen Hoti Hai Cypher Ho Jaane Ki Pyaas
Cypher Ko Paane Ki Pyaas
Jise Kabhi Dekha Nahi
Par Ummeed Hai Ki Woh Mil Jaayega Ek Din
Aise Hi Kisi Cypher Ki Talaash Main
Nikal Pada Hoon Main Bhi
Umra-E-Rafta Guzar Rahi Hai
Daastan-E-Cyphr Sanwar Rahi Hai
Padaav-Dar-Padaav,Safar-Dar-Safar

-Ramesh.